faza ki haath men rakh kar uḌaan ki ḳhushbu
badan pe le ki main utra thakan ki ḳhushbu
main mal raha huun bahut der se zamin lekin
paron se jaati nahin asman ki ḳhushbu
udhar ubuur kiya pichhli azma.ish ko
udhar se aa.i na.e imtihan ki ḳhushbu
ujaḌne vaali hai sabze ki saltanat saari
zamin ugalne lagi hai makan ki ḳhushbu
ḳhudara ghol de ‘fani’ ko aisa ghazlon men
nadi men ghulti hai jaise chaTan ki ḳhushbu
Leave a Reply