Fasil-E-Sabr Mein Rauzan Banana Chahti Hai

fasīl-e-sabr meñ rauzan banānā chāhtī hai

sipāh-e-taish mire dil ko Dhānā chāhtī hai

lipaT lipaT ke shajar ko lubhānā chāhtī hai

har ek bel mohabbat jatānā chāhtī hai

riyāl-e-ḳhvāb luTātī hai donoñ hāthoñ se

amīr-e-shauq mujhe āzmānā chāhtī hai

mirā hī siina kushāda hai chāhatoñ ke ta.iiñ

tufañg-e-dard mirā hī nishānā chāhtī hai

maiñ apne aap ko bhī dekhne se qāsir huuñ

ye shām-e-hijr mujhe kyā dikhānā chāhtī hai

khulā ki sāhil-e-dariyā pe maiñ pahuñch hī gayā

to ye anā mujhe sahrā meñ laanā chāhtī hai

numū ko rok qalam ko lagām de ‘arshad’

ki ye ġhazal tire parde uThānā chāhtī hai

Leave a Comment