fariyad sada-e-nafas avaz-e-jaras hai
kya qafila-e-umr kuun chalne ka havas hai
jo saf-dil hai us men kudurat ka asar niin
har-chand agar dushman-e-a.ina nafas hai
leta huun apas madrasa-e-dil men sabaq main
us shoḳh murdarris ka vahan jab suun daras hai
yak lamha na ho mujh suun juda ai mah-e-taban
har aan tire hijr ka mujh haq men baras hai
‘da.ud’ na kar pursish-e-mahshar sati kuchh ḳhauf
vaan al-e-mohammad ki shafa.at tujhe bas hai
Leave a Reply