fareb-e-nau ke bhanvar men utarta hai mujhe
ye kaun pichhle pahar phir pukarta hai mujhe
shikasta-hal huun ranj-o-alam se chuur huun main
nigah-e-lutf se ab kya sanvarta hai mujhe
nazar ye apni chaḌhata huun jis qadar us ko
usi qadar vo nazar se utarta hai mujhe
main kab ka Duub chuka huun use ḳhabar hi nahin
jo sahilon se abhi tak pukarta hai mujhe
usi ki yaad hai meri hayat ka hasil
jo be-niyaz taghaful se marta hai mujhe
main sulh-o-amn ka shaida.i huun mire rahbar
fasad-o-fitna pe tu kyuun ubharta hai mujhe
mila hai muddaton ke ba.ad kuchh gharaz hogi
kis inkisar se dekho niharta hai mujhe
use main ḳhaas karam men shumar karta huun
jo tu marahil-e-gham se guzarta hai mujhe
vo chahta hai guhar-yab ho ke ubhrun main
samundaron ki jo tah tak utarta hai mujhe
punam ki raat ka ye faiz nur-afshan ‘chand’
kisi hasin ḳhata par ubharta hai mujhe
Leave a Reply