• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai

Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai

bashir-badr

falak se chand sitaron se jaam lena hai

mujhe sahar se nai ek shaam lena hai

kise khabar ki farishte ghazal samajhte hain

khuda ke samne kafir ka naam lena hai

muamla hai tira badtarin dushman se

mire aziiz mohabbat se kaam lena hai

mahakti zulfon se khushbu chamakti aankh se dhuup

shabon se jam-e-sahar ka salam lena hai

tumhari chaal ki ahistagi ke lahje men

sukhan se dil ko masalne ka kaam lena hai

nahin main ‘mir’ ke dar par kabhi nahin jaata

mujhe khuda se ghazal ka kalam lena hai

bade saliqe se noton men us ko tulva kar

amir-e-shahr se ab intiqam lena hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nahin Ki Chaara-E-Dard-E-Nihan Nahin Malum

Hath Aata to Nahin Kuchh Pa Taqaza Kar Aaen

Sufi

Karta Hun Ab Ke Bar Main Tauba Se Tauba Yar

poet

Safar Hai dushwar Khwab Kab Tak Bahut Padi Manzil-E-Adam Hai

Ahbab Hain Kyun Dang Mujhe Hi Nahin Malum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet