faisla hijr ka manzur bhi ho sakta hai
aadmi ishq men majbur bhi ho sakta hai
vaqt ke paas nahin zaḳhm-e-mohabbat ka ilaaj
vaqt ke saath ye nasur bhi ho sakta hai
ji men aata hai use haath laga kar dekhun
nuur sa lagta hai, vo nuur bhi ho sakta hai
apne kandhon pe salibon ko uTha.e hue hain
ishq-zadon ka ye dastur bhi ho sakta hai
zehn ka kya hai ki bachne ke bahane DhunDe
dil to janbaz hai, mansur bhi ho sakta hai
sher kahne ka saliqa nahin ‘hashim’ ko magar
teri tanqid se mash.hur bhi ho sakta hai
Leave a Reply