• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Fabe-Ayye Aalaye Rabbikuma Tukazziban

Fabe-Ayye Aalaye Rabbikuma Tukazziban

parveen-shakir

dil-azari bhi ik fan hai

aur kuchh log to

saari zindagi isi ki roti khate hain

chahe un ka burj koi ho

aqrab hi lagte hain

tisre darje ke piile akhbaron par ye

apni yarqani sochon se

aur bhi zardi malte rahte hain

maala baari cabin hon ya panch sitara hotel

kahin bhi qai karne se baaz nahin aate

uupar se is amal ko

fiqre-bazi kahte hain

jis ka pahla nishana umuman

bill ko ada karne vaala sathi hota hai!

apne apne kunven ko bahr-e-azam kahne aur samajhne vaale

ye nanhe mendak

har hathi ko dekh ke phulne lage hain

aur jab phatne vaale hon to

hathi ki ankhon par phabti kasne lage hain

kavve bhi ande khane ke shauq ko apne

fakhta ke ghar ja kar puura karte hain

lekin ye vo saanp hain jo ki

apne bachche

khud hi chat kar jaate hain

kabhi kabhi main sochti huun ki

sanpon ki ye khaslat

malik-e-jinn-o-ins kii, insanon ke haq men

kaisi be-payan rahmat hai!

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bashir-badr

Azmaten Sab Teri Khudai Ki

Rang Se Rang Milata Hua Jata Hua Tu

dua-ali

dahliz Par Meri Koi Aaya Hai Barson Baad

Mujhse Afsurda Na Ai Josh-E-Bahaaran Hona

Bujh Gain Aqlon Ki Aankhen Gal Gae Jazbon Ke Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet