ik to va.ada ki tumhen chhoḌ ke jaana bhi na tha
dusra koi bichhaḌne ka bahana bhi na tha
kaghzi naav men saman mira lakhon ka
aur dariya ke siva koi Thikana bhi na tha
kaaT kar peḌ makan apna banana tha magar
un parindon ke makanon ko girana bhi na tha
inqalab aa.ega sunte hain zarur aa.ega
thak ga.i aankh magar us ko sulana bhi na tha
roz-e-avval se hi tum bandh ke rakhte saman
ab yahan dil nahin lagta to lagana bhi na tha
apne sheron se jari ki hai tire anchal ki
is se nayab mire paas ḳhazana bhi na tha
Leave a Reply