ek-tarfa be-ḳhudi men gum hua rahta huun main
be-mahaba faslon ko napta rahta huun main
mere ḳhad-o-ḳhal ko pahchanna asan nahin
raste ki gard men akasr aTa rahta huun main
janta huun DhunDhta huun ik sarab-e-nur ko
phir bhi us ki khoj men paiham laga rahta huun main
karvan-e-shauq jis ko zindagi kahte ho tum
is tag-o-dau ke jilau men hi sada rahta huun main
hazrat-e-va.iz tujhe mera pata kyunkar mile
jism ke ka.abe men manind-e-ḳhuda rahta huun main
Leave a Reply