ik shaḳhs ba-zamir mira yaar ‘mus.hafi’
meri tarah vafa ka parastar ‘mus.hafi’
rahta tha kaj-kulah amiron ke darmiyan
yaksar liye hue mira kirdar ‘mus.hafi’
dete hain daad ghair ko kab ahl-e-lucknow
kab daad ka tha un se talabgar ‘mus.hafi’
na-qadri-e-jahan se ka.i baar aa ke tang
ik umr sher se raha bezar ‘mus.hafi’
darbar men tha baar kahan us gharib ko
barson misal-e-‘mir’ phira ḳhvar ‘mus.hafi’
main ne bhi us gali men guzari hai ro ke umr
milta hai us gali men kise pyaar ‘mus.hafi’
Leave a Reply