ik qayamat vaqt se pahle bapa hone ko hai
ai ḳhuda.e mehrban ab aur kya hone ko hai
mausam-e-gul men ḳhizan saya-fagan hai kis liye
darpai azar kya bad-e-saba hone ko hai
jism-o-jan men qurbaton ki intiha ho jaa.e gar
jaan len phir duriyon ki ibtida hone ko hai
chhoḌ di main ne mata-e-ḳhvab duniya ke liye
hashr ik taqsim par us ki bapa hone ko hai
dil dhaḌakta hai yunhi andesha-e-farda hai kyuun
aisa lagta hai ki koi hadisa hone ko hai
jal chuka mera nasheman dekhna ye hai ki ab
aag phailegi kahan par aur kya hone ko hai
chand-taron ka safar ‘rahi’ karenge ek din
ka.enat-e-be-karan ab zer-e-pa hone ko hai
Leave a Reply