ik pal men ik sadi ka maza ham se puchhiye
do din ki zindagi ka maza ham se puchhiye
bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham
qiston men khud-kushi ka maza ham se puchhiye
aghaz-e-ashiqi ka maza aap janiye
anjam-e-ashiqi ka maza ham se puchhiye
jalte diyon men jalte gharon jaisi zau kahan
sarkar raushni ka maza ham se puchhiye
vo jaan hi gae ki hamen un se pyaar hai
ankhon ki mukhbiri ka maza ham se puchhiye
hansne ka shauq ham ko bhi tha aap ki tarah
hansiye magar hansi ka maza ham se puchhiye
ham tauba kar ke mar gae be-maut ai ‘khumar’
tauhin-e-mai-kashi ka maza ham se puchhiye
Leave a Reply