ik nazar men dard kho dena dil-e-bimar ka
ye to adna sa karishma hai nigah-e-yar ka
ghair mumkin hai ki ho pamal koi hashr men
ho na jab tak kuchh ishara aap ki raftar ka
hazrat-e-adam se ta iin dam hue sab ishq dost
hai azal se daur daura husn ki sarkar ka
ham jo mar kar ji uThe is par ta.ajjub kya ki hai
vo karamat chaal ki ye mojaza guftar ka
aap ke ghamze uTha.un ghair ke taane sunun
banda parvar main ne chhoḌa ishq bhi sarkar ka
ablon ko sar uThane ki zara mohlat nahin
hai karam sahra-navardi men ye nok-e-ḳhar ka
is se baḌh kar aap ‘ahsan’ chahte hain aur kya
doston ki daad hai goya sila ash.ar ka
Leave a Reply