ik mohabbat ka fusun tha so abhi baaqi hai
mujh men ik raqs-e-junun tha so abhi baaqi hai
aankh men ḳhvab ki kirchen thiin so tu ne chun liin
par jo ik qatra-e-ḳhun tha so abhi baaqi hai
mar gaya dil hai magar teri amanat mahfuz
dil jo ik dil ke darun tha so abhi baaqi hai
kaT ga.e sar ki uTha.e the baghavat ki thi
jo bhi sar hai vo nigun tha so abhi baaqi hai
is ne puchha hai tumhen pyaar tha kya ḳhatm hua
dil men aati hai kahun tha so abhi baaqi hai
Leave a Reply