• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Lau Thi Mere KHun Mein Tahlil to Ye Thi

Ek Lau Thi Mere KHun Mein Tahlil to Ye Thi

ik lau thi mire ḳhuun men tahlil to ye thi

ik barq si rau thi miri qindil to ye thi

tere ruḳh-e-ḳhamosh se meri rag-e-jan tak

jo kaam kiya aankh ne tarsil to ye thi

banna tha to banta na farishta na ḳhuda main

insan hi banta miri takmil to ye thi

sanpon ke tasallut men the chiḌiyon ke basere

maftuh gharane! tiri tamsil to ye thi

Tiile ka khanDar sadiyon ki tariḳh liye tha

ijmal batata tha ki tafsil to ye thi

vo janta tha sajda faqat tujh ko rava hai

palTa na phir is hukm se ta.amil to ye thi

ik ḳhvab dhundlakon men bikharta hua ‘kausar’

aḳhir ruḳh-e-ta.abir ki tashkil to ye thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tum Jo Aaoge to Mausam Dusra Ho Jaega

Patthar Ke Ratjage Meri Palkon Mein gaD Ke

Ye Aaina Tha Magar Gham Ki Rahguzar Mein Tha

Ye Kaisi Baat Mera Mehrban Bhul Gaya

poet

Agar Shama Hue to Gal Gae Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet