ik ḳhāk-zāda chalne lagā lā-ilāh kī samt
ya.anī ki gāmzan maiñ huā karbalā kī samt
mujh ko kisī tabīb se koī ġharaz nahīñ
bīmār paḌ ke aatā huuñ ḳhāk-e-shifā kī samt
jab muntazir the hur ke vahāñ par husain ḳhud
kaise fanā se aatā na phir hur baqā kī samt
karb-o-balā meñ jaatā huuñ āñkhoñ meñ nam liye
na.ara lagā ke jaatā huuñ mushkil-kushā kī samt
maulā tumhārā ġham bhī manāne ko ye malak
arsh-e-barīñ se aate haiñ farsh-e-azā kī samt
kaise bhalā na ro.eñ use dekh kar husain
ġhāzī sā sher bhaa.ī chalā alqamā kī samt
dekho ġhazal se martaba is kā buland hai
chhoḌo ġhazal ko aao ‘sahar’ marsiya kī samt