ik jal-thal thi kal tak ye zamin ye dasht bhi kal tak dariya the
ye shor tha kal ik sannaTa ye shahar bhi kal tak sahra the
aghaz apna vahshat basri anjam apna shorida-sari
ham aaj bhi hain badnam bahut ham kal bhi nihayat rusva the
tanhai-e-zat ka saaya hai tanhai apna virsa hai
ham aaj bhi hain tanha tanha ham kal bhi tanha tanha the
maazi ke ḳharabon men bhi kahin lau deta raha suraj apna
maazi ke ḳharabon men bhi ham ik ḳhvab-e-jahan-farda the
apna hi to hai shahkar-e-amal tahzib ka ye zindan ‘akbar’
ham aaj hain shahron ke qaidi kal tak avara-e-sahra the
Leave a Reply