• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin

Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin

ek hi ḳhat men hai kya haal jo mazkur nahin

dil to dil ishq men saada varaq-e-tur nahin

ek ham hain ki kisi baat ka maqdur nahin

ek vo hain ki kisi rang men majbur nahin

imtihan-gah-e-mohabbat nahin gul-e-zar-e-ḳhalil

kaun aisa hai jo zaḳhmon se yahan chuur nahin

naza.a ka vaqt hai baiTha hai sirhane koi

vaqt ab vo hai ki marna hamen manzur nahin

qabil-e-ghaur hai ai jalva-paristan-e-azal

ye kahani hai miri vaqia-e-tur nahin

misr ka chand ho aghosh men zindan ke tulua

fitrat-e-husn badal jaa.e to kuchh duur nahin

sar jhuka.e dar-e-daulat se palaTne vaale

be-niyazi ki ada.en hain vo maghrur nahin

jubba-sa.i bhi gavara nahin karta koi

uTh ke jaana dar-e-daulat se bhi dastur nahin

ishq men sarhad-e-manzil se kuchh aage honge

us ka rona hai koi sa.i bhi mashkur nahin

dil men paivast hui thi jo mire roz-e-azal

hai vahi shoḳh-nazar sa.iqa-e-tur nahin

dil ko bhi di ga.i hai ḳhidmat-e-dard-e-abadi

sirf ankhen hi miri rone pe ma.amur nahin

sar-e-mizhgan mire aansu ka sitara chamka

daar par ab asar-e-jazba-e-mansur nahin

saad surḳhi se kiya kis ne sar-e-fard-e-jamal

apne aalam men tire dida-e-maḳhmur nahin

zindagi ḳhatm hui jab to ik avaz suni

aa gaya main tire nazdik bas ab duur nahin

ruuh kahti hui nikli hai dam-e-naz.a ‘aziz’

un se is bazm men milna hamen manzur nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abroo-shah-mubarak

dekho To Jaan Tum Kun Manate Hain Kab Seti

poet

Kya Farogh-E-Bazm Us Mah-Ru Ka Shab Sad-Rang Tha

Laega Rang Zabt-E-Fughan Dekhte Raho

poet

Idhar Bhi Aaen Kabhi Dhup Ke Satae Hue

Jo jhuTlata Raha Hai Zindagi Ko

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet