ik haath pe ankhen rakkhi hain ik haath pe chehra hota hai
har gaam madari baiThe hain har vaqt tamasha hota hai
ab kaun yahan majzub nahin bazar men kya maujud nahin
irfan ki maala bikti hai ilham ka sauda hota hai
apni ḳhalvat men dhyan kahan ḳhamoshi hai vijdan kahan
ik andhi ḳhaak uḌati hai ik aag ka dariya hota hai
dil bahr saman ankhen raushan par rahguzar bhi to dekho
ik tang-nazar ki badli ne andher machaya hota hai
kal jhuum ke boli kenchuli-e-ilhad aqide ke man se
ai rind tujhe do munhon ne kya jaam pilaya hota hai
har but ke aage sajde par zindiqi ko majbur na kar
ye jehl-e-maratib aḳhir kis kafir ko gavara hota hai
ham log pasheman fitrat hain divanon ki kab sunte hain
ankhon vaale paḌh sakte hain divar pe likkha hota hai
Leave a Reply