ik faqat sahil talak aata huun main
rau men jaane kaise bah jaata huun main
manzilon ki justuju men bar-ha
manzilon se aage baḌh jaata huun main
bhagta huun raat jis jangal se duur
sub.h usi ko samne paata huun main
kis ufuq men dafn ho jaata hai din
har shab is uljhan ko suljhata huun main
mar gaya jo shaḳhs mujh men us ka roz
pattharon par naam khudvata huun main
qufl-e-abjad huun bas ik tartib se
kholne vaala ho khul jaata huun main
baar baar is shahr ko ‘betab’ kyuun
ba-dil-e-na-ḳhvasta jaata huun main
Leave a Reply