ek ek qatre ka mujhe dena pada hisab
khun-e-jigar vadiat-e-mizhgan-e-yar tha
ab main huun aur matam-e-yak-shahr-arzu
toda jo tu ne aaina timsal-dar tha
galiyon men meri naash ko khinche phiro ki main
jan-dada-e-hava-e-sar-e-rahguzar tha
mauj-e-sarab-e-dasht-e-vafa ka na puchh haal
har zarra misl-e-jauhar-e-tegh ab-dar tha
kam jante the ham bhi gham-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gham-e-rozgar tha
kis ka junun-e-did tamanna-shikar tha
aina-khana vadi-e-jauhar-ghubar tha
kis ka khayal aina-e-intizar tha
har barg-e-gul ke parde men dil be-qarar tha
juun ghuncha-o-gul afat-e-fal-e-nazar na puchh
paikan se tere jalva-e-zakhm ashkar tha
dekhi vafa-e-fursat-e-ranj-o-nashat-e-dahr
khamyaza yak-darazi-e-umr-e-khumar tha
subh-e-qayamat ek dum-e-gurg thi ‘asad’
jis dasht men vo shokh-e-do-alam shikar tha