ik dard ka sahra hai simaTta hi nahin hai
ik gham ka samundar hai jo ghaTta hi nahin hai
kya tera badan jaan gaya teri ana ko
pahle ki tarah mujh se lipaTta hi nahin hai
schōli kitabo zara fursat use de do
bachcha mira titli pe jhapaTta hi nahin hai
kya kya nahin karta hai zamana use bad-dil
dil hai ki tiri or se haTta hi nahin hai
sab ḳhali gilason ko ‘ziya’ thame hue hain
saaqi hai ki paimana ulaTta hi nahin hai
Leave a Reply