ik chadar-e-bosida main dosh pe rakhta huun
aur daulat-e-duniya ko pa-posh pe rakhta huun
ankhon ko tikata huun hangama-e-duniya par
aur kaan sukhan-ha-e-khamosh pe rakhta huun
kaifiyyat-e-be-khabri kya chiiz hai kya janun
buniyad hi hone ki jab hosh pe rakhta huun
men kaun huun azalon ki hairaniyan kya bolen
ik qarz hamesha ka main gosh pe rakhta huun
jo qarz ki mai pi kar taskhir-e-sukhan kar le
iman usi dilli ke mai-e-nosh pe rakhta huun
Leave a Reply