ik bhuul si zarur kahin kar rahe hain ham
koi zaruri kaam nahin kar rahe hain ham
chuma hai jin labon hazar un ke ḳhuun muaaf
to jhuuT ḳhuub bol yaqin kar rahe hain ham
bahar se mar ga.e hain ki maare na ja saken
jiine ka kaam zer-e-zamin kar rahe hain ham
Leave a Reply