raat chup-chap dabe paanv chale jaati hai
raat khamosh hai roti nahin hansti bhi nahin
kanch ka niila sa gumbad hai uda jaata hai
khali khali koi bajra sa baha jaata hai
chand ki kirnon men vo roz sa resham bhi nahin
chand ki chikni dali hai ki ghuli jaati hai
aur sannaton ki ik dhuul udi jaati hai
kaash ik baar kabhi niind se uth kar tum bhi
hijr ki raton men ye dekho to kya hota hai
Leave a Reply