dushmanon ko dost bhaa.i ko sitamgar kah diya
log kyuun barham hain kya shishe ko patthar kah diya
is liye mujh ko amir-e-shahr ne di hai saza
main ne ḳhud ko ḳhadim-e-sibt-e-payambar kah diya
chaḌhte suraj ki parastish men sabhi masruf the
mujh se jab puchha gaya allahu-akbar kah diya
kitne sada-lauh hain ye sab safiran-e-junun
rahzan bhi mil gaya to us ko rahbar kah diya
ho gaya dushman bhi mere hausle ka mo’tarif
mujh ko dariya-e-havadis ka shanavar kah diya
sher kahne men mujhe ‘ajiz’ maza aane laga
us ne jab be-saḳhta mujh ko suḳhan-var kah diya
Leave a Reply