chand hi nikla na badal hi chhama-chham barsa
raat dil par gham-e-dil surat-e-shabnam barsa
jalti jaati hain jaḌen sukhte jaate hain shajar
ho jo taufiq to aansu hi koi dam barsa
mere arman the barsat ke badal ki tarah
ghunche shaki hain ki ye abr bahut kam barsa
pai-ba-pai aa.e sajal taron ke manind ḳhayal
meri tanha.i pe shab husn jhama-jham barsa
kitne na-paid ujalon se kiya hai abad
vo andhera jo miri ankhon pe paiham barsa
sard jhonkon ne kahi suuni ruton se kya baat
kin tamannaon ka ḳhuun shaḳhon se tham tham barsa
qarya qarya thi ‘ziya’ hasrat-e-abadi-e-dil
qarya qarya vahi virani ka aalam barsa
Leave a Reply