• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dushmani Wo Lae Hain Dosti Ke Daman Mein

Dushmani Wo Lae Hain Dosti Ke Daman Mein

dushmani vo laa.e hain dosti ke daman men

tirgi hai poshida raushni ke daman men

adl ke liye mulzim kab se raah takta hai

kaun si hai majburi munsifi ke daman men

go ki vo masiha hai par ye dard mere hain

kaise saare dukh rakh duun ajnabi ke daman men

yuun libas-e-bosida mal-o-zar se ḳhali hai

be-karan mohabbat hai muflisi ke daman men

ham ana-parasti men un ko bhi na kho baiThen

ḳhushnuma se jo pal hain ham sabhi ke daman men

ik qalam ki taqat par ham ye jang jitenge

hauslon ki vus.at hai zindagi ke daman men

fikr ke naginon ko lafz ne tarasha hai

ai ‘shifa’ ye hiire hain sha.eri ke daman men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Salim Dil Ko Mayassar Sakun Zara Na Hua

Tirgi Mein Ek Pal Ka Hi Sahaara Kar Gaya

chhoDiye Aap Ka Is Baat Se Kya Lena Hai

Dil Mein Hamare Ab Koi Arman Nahin Raha

Lahu Se Apne Zamin Lala-Zar Dekhte The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet