duur rah bhi na sakun paas bula bhi na sakun
tu vo apna hai jise apna bana bhi na sakun
ai masiha koi tadbir masiha.i ki kar
zaḳhm aisa hai ki har ik ko dikha bhi na sakun
husn ki aur tab-o-tab baḌha deta hai
main to us til ka kabhi mol chuka bhi na sakun
umr ke aḳhiri nukkaḌ pe mulaqat ka dukh
yuun mila hai ki tire naaz uTha bhi na sakun
is qadar talḳh ravayya tu mire saath na rakh
zindagi men tujhe siine se laga bhi na sakun
vo ta.alluq ko ajab moḌ pe le aaya hai
saath chal bhi na sakun chhoḌ ke ja bhi na sakun
Leave a Reply