• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-Dada Na Ho

Dur Ke Jalwon Ki Shadabi Ka Dil-Dada Na Ho

duur ke jalvon ki shadabi ka dil-dada na ho

tu jise dariya samajhta hai kahin sahra na ho

aa.ine ko ek muddat ho ga.i dekhe hue

vo jabin-e-shauq jis par soch ka saaya na ho

vo bhi mere paas se guzra usi andaz se

main ne bhi zahir kiya jaise use dekha na ho

is taraf kya turfa aalam hai ye khul sakta nahin

aadmi ka qad agar divar se uncha na ho

maslahat chahe rahun Daale tasanno ka naqab

dosti ki maang chehre par koi parda na ho

dhuup se ghabra ke baiTha to hai lekin dekh le

ye kisi girti hui divar ka saaya na ho

qahqahon ki chhanv men ik shaḳhs baiTha hai udaas

vo bhi meri hi tarah is bhiiḌ men tanha na ho

‘sabir’ in manus galiyon se to dil ukta gaya

aa chalen is shahr men pahle jaise dekha na ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Puchha Ki Wajh-E-Zindagi Bole Ki Dildari Meri

poet

Muntashir Hote Hue Ambar Ko Taswir Kar

Maulana Rumi

Martabaat-e-Rah-e-Sadiq

Mere Wajud Ko Usne Ajab Kamal Diya

poet

Kal Humse Mulaqat Mein Wo Yar Jo Ki Bahs

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet