duniya tujhe chahe kuchh bhi kahe ham jan-e-tamanna kahte hain
ham teri nazar men ghair sahi phir bhi tujhe apna kahte hain
phulon men misl-e-gulab hai tu taron men hasin mahtab hai tu
tu sab se achchha lagta hai tujhe sab se achchha kahte hain
tu dilbar hai dil-dar hai tu tu jan-o-dil se pyara hai
fitrat ne jis ko sanvara hai tujhe husn sarapa kahte hain
koi ishq ki tujh ko jaan kahe koi dil ka tujhe arman kahe
dil valon ki is basti men tujhe aur bhi kya kya kahte hain
pal-bhar ke liye aram nahin ab us ke siva koi kaam nahin
tiri surat dekha karte hain tujh ko aina kahte hain
tu laakh chhupae ishq magar chehre se ayaan ho jaata hai
kahne vaale to duniya men mujhe aaj bhi tera kahte hain
Leave a Reply