duniya se aaj jazb-e-vafa mangta huun main
ye jurm hai agar to saza mangta huun main
kis moḌ par hayat ke chhoḌa hai tum ne saath
ik ik se aaj apna pata mangta huun main
main ne to ki thi dard-e-musalsal ki aarzu
tum ko guman hua ki dava mangta huun main
ra.ana.i-e-bahar baḌhane ke vaste
tera jamal teri ada mangta huun main
barsao mujh pe sang ba-nam-e-ḳhulus-e-ishq
apne kiye ki aap saza mangta huun main
tum mangte ho saari ḳhuda.i to maang lo
apne liye to sirf ḳhuda mangta huun main
kya jaane ab sameT ke saari tabahiyan
is daur-e-iztirab se kya mangta huun main
qatil ko gham-gusar samajhta huun ab ‘ra.is’
maqtal men zindagi ki dua mangta huun main
Leave a Reply