• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dukhe Hue Hain Hamein Aur Ab dukhao Mat

dukhe Hue Hain Hamein Aur Ab dukhao Mat

obaidullah-aleem

dukhe hue hain hamen aur ab dukhao mat

jo ho gae ho fasana to yaad aao mat

khayal-o-khvab men parchhaiyan si nachti hain

ab is tarah to miri ruuh men samao mat

zamin ke log to kya do dilon ki chahat men

khuda bhi ho to use darmiyan laao mat

tumhara sar nahin tiflan-e-rah-guzar ke liye

dayar-e-sang men ghar se nikal ke jaao mat

sivae apne kisi ke bhi ho nahin sakte

ham aur log hain logo hamen satao mat

hamare ahd men ye rasm-e-ashiqi thahri

faqir ban ke raho aur sada lagao mat

vahi likho jo lahu ki zaban se milta hai

sukhan ko parda-e-alfaz men chhupao mat

supurd kar hi diya atish-e-hunar ke to phir

tamam khaak hi ho jaao kuchh bachao mat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ab Shahr Ki Aur Dasht Ki Hai Ek Kahani

poet

Soz Se Saz Kiya Chahiye Ab

Hum Rah Gae Hamara KHalal Kyun Nahin Raha

Dil Ka Har Ek zaKHm Gahra Hai

abdullah-kamal

dasht-O-Sahra Phir Se Apnaen Bhi Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet