Dubte vaqt jo kuchh haath men gauhar aa.e
sab ke sab naḳhuda ke haath men ham dhar aa.e
jang laḌne ga.e ham jo sahar-e-duniya se
shaam ko ghar ka.i hisson men bikhar kar aa.e
us ki ankhon ko tamashe ki tamanna hai bahut
us se kahna ki kisi raat mire ghar aa.e
haa.e us naql-e-makani ne kiya hai barbad
jitne basne ko ga.e utne ujaḌ kar aa.e
Leave a Reply