duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar haath utha utha kar
hua huun tab main buton ka banda khuda khuda kar khuda khuda kar
dua lab-e-jam ne bhi mangi subu ne bhi haath utha utha kar
hamari mahfil men aaya saaqi khuda khuda kar khuda khuda kar
dikhaya vahdat ne apna jalva dui ka parda utha utha kar
karun main sajda buton ke aage tu ai barahman khuda khuda kar
hain ashk zakhmon se mere jaari na dekhi hogi ye ashk-bari
bani hain chashm-e-pur-ab qatil ye zakhm paani chura chura kar
kahan vo shaklen kahan vo baten kahan vo jalse kahan vo mahfil
ye sab ka sab khvab ka tha saman chhupa liya bas dikha dikha kar
ba-rang-e-saghar mila diya munh jo munh se tere khafa na hona
kiya hai behosh tu ne saaqi sharab mujh ko pila pila kar
uthaya yaron ne par na uttha zamin se hargiz hamara lasha
ye kis ne ham ko hai maar daala nazar se apni gira gira kar
jo pahunchen ham murgh-e-nama-bar ko to chutkiyon men use uda de
agar-che vo tifl khelta hai par-e-kabutar uda uda kar
pas-az-fana bhi agar tu aae karun sag-e-yar mehmani
ki ustakhvanon ko apne tan men rakha huma se chhupa chhupa kar
gire agar sar-kashi ho mujh se abhi falak ko zamin pe patkun
ki tod daale main aise miine hazaron shishe utha utha kar
kabhi mire dil se karti hain bal kahi hain shane se ye uljhtin
gharaz ki zulfon ko tu ne zalim bigada hai sar chadha chadha kar
shikast likhta tha naam dil ka yahi thi tifli men mashq teri
bana diya dil-shikan ye tujh ko moallimon ne likha likha kar
bade gile hain ajal ko tujh se masih ko bhi bahut hain shikve
ki dam men tu ne hain maar daale hazaron murde jila jila kar
pilana paani ka jaam zahid gunah mashrab men hai hamare
savab leta nahin hai kyuun tu sharab mujh ko pila pila kar
nahin koi razdar ham sa kiya na vahshat men tujh ko rusva
ki daagh manind-e-khar-e-mahi badan men rakhe chhupa chhupa kar
gale hazaron ne apne kaate hazaron be-vajh ho gae khuun
bahut hua phir tu yaar nadim kaf-e-hinai dikha dikha kar
nigah ki surat phiro na har su hijab tum mardumuk se sikho
ab aao ankhon men sair dekho mizha ki chilman utha utha kar
dikha ke gul se ezaar tu ne kiya dil-e-ashiqan ko bulbul
bana diye gosh ghairat-e-gul sada-e-rangin suna suna kar
gunah karta hai barmala tu kisi se karta nahin haya tu
khuda ko kya munh dikhaega tu zara tu ai be-haya haya kar
chala hai mahfil se apne saaqi dikhaun main apni ashk-bari
karun bat-e-mai ko murgh-e-abi abhi se dariya baha baha kar
rulae barson hansi tu jis se dikhae gar zulf maar rakkhe
kare tu dar-parda raah dil men jo dekhe parda utha utha kar
vahi asar hai junun ka ab tak vahi hai ladkon ko ab bhi kavish
ki meri mitti ke roz majnun bigadte hain bana bana kar
ajab nahin nama-e-amal ka dila ho kaghaz agar khata ke
khataen kiin main ne ashkara kiye hain isyan chhupa chhupa kar
asar hai chah-e-zaqan ki ulfat ka baad-e-murdan bhi aah baaqi
ki khelti hain hamari mitti ke dol ladke bana bana kar
kiya hai poshida ishq ham ne kisi se dar-parda hai mohabbat
pade hue bistar-e-alam par jo rote hain munh chhupa chhupa kar
jo khauf tufan-e-ashk se ab nahin hai jaata na jaae qasid
ravan karun su-e-yar-e-jani khaton ki naven bana bana kar
tira sa qad ban saka na hargiz tiri si surat na bin saki phir
agar-che saane ne lakhon naqshe bigad daale bana bana kar
udhar mizha ne lagai barchhi idhar nigahon ne tiir maare
shikast di fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne ankhen lada lada kar
kati hai goya shab-e-javani bas aan pahunchi hai subh-e-piri
bahut si ki tu ne but-parasti ab ek do din khuda khuda kar
Leave a Reply