qalam ho jaae sar parva na karna
amir-e-shahr ko sajda na karna
kiya tark-e-ta.alluq tum ne behtar
magar us ka kahin charcha na karna
mujhe turbat men az-had afiyat hai
masiha ab mujhe zinda na karna
baḌhata hai kasal duri-e-manzil
ḳhayal-e-vus.at-e-sahra na karna
kaThin ho jaegi manzil-shanasi
kabhi masḳh un ka naqsh-e-pa na karna
mohabbat men ye hai dastur-e-duniya
zara si baat ko ifsha na karna
ye hai ab ik tariqa guftugu ka
kisi ke samne lab va na karna
tumhare munh pe vo sach bol dega
muqabil apne aina na karna
munasib hai ki ‘ajiz’ tauba kar lo
na taz.hik-e-mai-o-mai-ḳhana karna