dua se kuchh na hua iltija se kuchh na hua
buton ke ishq men yad-e-ḳhuda se kuchh na hava
main ek kya huun sabhi ba-vafa hain shaki-e-jaur
tum ek kya ho kisi bevafa se kuchh na hua
bhari to thi magar apne asar ko la na saki
ga.i to thi magar ah-e-rasa se kuchh na hua
vo aarzu huun ki jis aarzu ki kuchh na chali
vo mudda.a huun ki jis mudda.a se kuchh na hua
yahi sahi ki ḳhushi se mile mile to sahi
yahi sahi ki hamari dua se kuchh na hua
vo ek ham ki jo chaha kiya visal ki raat
vo ek tum ki tumhari haya se kuchh na hua
unhen bula ke tasavvur men ham mile ‘muztar’
havas to ho ga.i puuri bala se kuchh na hua
Leave a Reply