• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dosh-E-Hawa Pe Tinkon Ka Ye Aashiyana Kya

Dosh-E-Hawa Pe Tinkon Ka Ye Aashiyana Kya

dosh-e-hava pe tinkon ka ye ashiyana kya

jis ko ujaḌ hi jaana hai vo ghar basana kya

ham ko chhupa rahe ho ye aḳhir hamin se kyuun

ham se mila rahe ho hamen gha.ebana kya

ham kaun juzv-e-ḳhas kisi dastan ke the

kaisa hamara zikr hamara fasana kya

ankhon men ashk rok liye is ḳhayal se

miTTi men motiyon ka luTa.en ḳhazana kya

vo bazm-e-dostan na vo ab ku-e-dilbaran

bahar nikal ke ghar se kahin aana jaana kya

maqsad ye kya nahin hai ki dushman ko ho shikast

ye jang ho rahi hai koi dostana kya

jab sab yahan ḳhamosh hain divar ki tarah

phir sunna kya kisi se kisi ko sunana kya

‘mohsin’ kahin bhi le ke hamen ab-o-dana jaa.e

apna yahan pe Thaur koi kya Thikana kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

najma-shaheen-khosa

Ajnabi Shahr Ki Ajnabi Sham Mein

Bimar-E-Gham Ka Koi Mudawa Na Kijiye

Mahakte miThe Mastane Zamane

poet

Ittifaqan Mile the Wo Sar-E-Rah

poet

Hawas Ka Rang chaDha Us Pe Aur Utar Bhi Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet