dobara mo.ajiza ho ja.ega kya
vo pagal phir mira ho ja.ega kya
lahu taaza zamin par thukne se
junun ka haq ada ho ja.ega kya
ye dil baitushsharf hai hadson ka
ye dil maskan tira ho ja.ega kya
andheri raat ka daman jala kar
charaghon ka bhala ho ja.ega kya
tiri ankhon men pal-bhar jhankne se
mohabbat ka nasha ho ja.ega kya
jise hasil kiya sab kuchh ganva kar
vo aise hi juda ho ja.ega kya
zarurat jis ke aage sar jhuka de
batao vo ḳhuda ho ja.ega kya
qayafa parsa.i ka bana kar
tu sach men parsa ho ja.ega kya
agar main phoḌ duun suraj ki ankhen
andhera ja-ba-ja ho ja.ega kya
ka.i raten musalsal jagne se
tu ik sha.ir baḌa ho ja.ega kya
mire ik lams ki hiddat pahan kar
vo patthar mom ka ho ja.ega kya
hamare be-biza.at faslon se
ta.alluq narava ho ja.ega kya
vo kahte hain bani lamhe men duniya
ye sab kuchh barmala ho ja.ega kya
haqiqat men tu mere samne hai
ye manzar ḳhvab sa ho ja.ega kya
‘nadim’ ab maan ja ash.ar mat likh
to yunhi bavla ho ja.ega kya
Leave a Reply