• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / do Ishq

do Ishq

faiz-ahmad-faiz

(1)

taaza hain abhi yaad men ai saqi-e-gulfam

vo aks-e-rukh-e-yar se lahke hue ayyam

vo phuul si khulti hui didar ki saaat

vo dil sa dhadakta hua ummid ka hangam

ummid ki lau jaaga gham-e-dil ka nasiba

lo shauq ki tarsi hui shab ho gai akhir

lo duub gae dard ke be-khvab sitare

ab chamkega be-sabr nigahon ka muqaddar

is baam se niklega tire husn ka khurshid

is kunj se phutegi kiran rang-e-hina ki

is dar se bahega tiri raftar ka simab

us raah pe phailegi shafaq teri qaba ki

phir dekhe hain vo hijr ke tapte hue din bhi

jab fikr-e-dil-o-jan men fughan bhuul gai hai

har shab vo siyah bojh ki dil baith gaya hai

har subh ki lau tiir si siine men lagi hai

tanhai men kya kya na tujhe yaad kiya hai

kya kya na dil-e-zar ne dhundi hain panahen

ankhon se lagaya hai kabhi dast-e-saba ko

daali hain kabhi gardan-e-mahtab men bahen

(2)

chaha hai isi rang men laila-e-vatan ko

tadpa hai isi taur se dil us ki lagan men

dhundi hai yunhi shauq ne asaish-e-manzil

rukhsar ke kham men kabhi kakul ki shikan men

us jan-e-jahan ko bhi yunhi qalb-o-nazar ne

hans hans ke sada di kabhi ro ro ke pukara

puure kiye sab harf-e-tamanna ke taqaze

har dard ko ujyala har ik gham ko sanvara

vapas nahin phera koi farman junun ka

tanha nahin lauti kabhi avaz jaras ki

khairiyyat-e-jan rahat-e-tan sehhat-e-daman

sab bhuul gaiin maslihaten ahl-e-havas ki

is raah men jo sab pe guzarti hai vo guzri

tanha pas-e-zindan kabhi rusva sar-e-bazar

garje hain bahut shaikh sar-e-gosha-e-mimbar

kadke hain bahut ahl-e-hakam bar-sar-e-darbar

chhoda nahin ghairon ne koi navak-e-dushnam

chhuti nahin apnon se koi tarz-e-malamat

us ishq na us ishq pe nadim hai magar dil

har daagh hai is dil men ba-juz-dagh-e-nadamat

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afzaal-firdaus

Main Khak Mein Mile Hue Gulab dekhta Raha

KHud Apne Aap Se ruTha Hua Hun

Zamin Phir Dard Ka Ye Saeban Koi Nahin Dega

DhunDte Phirte Hain zaKHmon Ka Mudawa Nikle

Majaz Kaisa Kahan Haqiqat Abhi Tujhe Kuchh KHabar Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet