divar phalang kar aaya
suraj ka aadha saaya
nagin ne palaT palaT kar
der talak mujh ko Daraya
tha koi aur khanDar men
jis ne vo charagh jalaya
kal shab pagal ho kar vo
phir mere tan men samaya
us ke tan ki ret pe kya
main ne kuchh ḳhaka banaya
Leave a Reply