din ke haare hue jab shaam ko ghar jaate hain
zindagi ham tiri aghosh men mar jaate hain
koi to baat hai jo ab bhi tiri janib ham
dil ijazat nahin deta hai magar jaate hain
aaj bhi kachche ghaḌon par hi bharosa kar ke
ishq vaale chaḌhe dariya men utar jaate hain
ham gharibon ke taraf-dar bahut hain lekin
baat insaf ki aa.e to mukar jaate hain
kaun phir sach ki himayat men gavahi dega
ham bhi qatil ki himayat men agar jaate hain
aankh suraj se milane ka jinhen da.ava hai
ek jugnu bhi chamak jaa.e to Dar jaate hain
is adakar zamane ko suḳhnavar ‘tashna’
yaad aate hain ki jis vaqt guzar jaate hain
Leave a Reply