Din Hua Jaise Raushni Hi Nahin

din huā jaise raushnī hī nahīñ

chāñd niklā to chāñdnī hī nahīñ

beach jañgal meñ raah bholī thī

lauT kar ghar kabhī ga.ī hī nahīñ

haal aur maazī ek jaise haiñ

vaqt se merī dostī hī nahīñ

merī āñkhoñ ko le uḌā bādal

aisī bārish huī thamī hī nahīñ

be-sahārā thakan hai aur maiñ huuñ

manzil-e-ishq tak chalī hī nahīñ

kuchh sitāroñ ne ḳhud-kushī kar lī

kuchh sitāroñ meñ saañs thī hī nahīñ

ye ‘sahar’ aa.ine meñ kaun hai ab

merī sūrat mujhe milī hī nahīñ

Leave a Comment