raat ko din kaha nahin jaata
yuun to suuli chadha nahin jaata
log to chup hain zulm sah kar bhi
mujh se kyon chup raha nahin jaata
aaj to shahr men hai sannata
kal ho kya kuchh kaha nahin jaata
dhuup sar pe ho aur sahra ho
paanv nange chala nahin jaata
jaan har pal rahe hatheli par
is tarah to jiya nahin jaata
badh gaya kya bisat se us ki
dil se gham kyon saha nahin jaata
jis ko milna hai khaak men ‘masud’
us ke aage jhuka nahin jaata
Leave a Reply