dilon par hukmarani hai usi ki
ye qissa aur kahani hai usi ki
yahan qabza na karna bhuul kar bhi
yahan bas rajdhani hai usi ki
ki ham bad-baḳht logon men yaqinan
ye saari kamrani hai usi ki
tabhi to shahr saara ja raha hai
miri jaan mezbani hai usi ki
ye phulon ke na.e paigham aana
yaqinan mehrbani hai usi ki
sabhi se muskura ke bolte ho
yahi to bad-gumani hai usi ki
qabila munharif hone lage to
batana ye nishani hai usi ki
hamen dhutkar kar rone lagega
ye harakat bhi purani hai usi ki
Leave a Reply