dila ma.ashuq jo hota hai vo saffak hota hai
baḌa be-rahm hota hai baḌa bebak hota hai
ḳhushi hogi halak apna dil-e-sad-chak hota hai
kahan ab aarzu ghar hasraton ka ḳhaak hota hai
tumhari tegh mujh se chupke chupke kahti jaati hai
mubarak ho ki ye sar zinat-e-fitrak hota hai
tujhe allah ne baḳhsha hai kaisa rutba-e-ali
ki tera naqsh-e-pa taj-e-sar-e-aflak hota hai
qarib aaya hai vaqt ai jan-e-jan ab dam nikalne ka
tire kuche se ham uThte hain jhagḌa paak hota hai
jo piite hain sharab un ki mohabbat men nahin aasi
ye tar-daman vahi hain jin ka daman paak hota hai
ḳhayal aata hai badnami ka ashiq qatl hote hain
ki mashuqon ko nam-e-ashiqi se paak hota hai
asar se meri vahshat ke koi jaama nahin sabit
main sunta huun gareban har kafan ka chaak hota hai
main kah deta huun ho aa kar zulf ke kuche men dam-bhar ko
kisi din jab bahut muztar dil-e-ghamnak hota hai
pahunch jaa.e haqiqat tak tiri ye ghair-mumkin hai
bahut go tujh se vaqif sahab-e-idrak hota hai
‘rashid’-e-zar kyuun ḳhush ḳhush na jaa.e qabr ki janib
mayassar aaj didar-e-shah-e-laulak hota hai
Leave a Reply