• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Wo Shai Hai Ki Jo dekhe To Khiche Yar Ke Sath

dil Wo Shai Hai Ki Jo dekhe To Khiche Yar Ke Sath

poet

dil vo shai hai ki jo dekhe to khiche yaar ke saath

ye dukan vo hai ki chalti hai kharidar ke saath

ek dam-bhar ke liye ham na lagaya tha gale

umr hi kat gai qatil tiri talvar ke saath

tana-e-zulm-o-sitam laila-o-shirin pe abas

kya kiya aap ne ishq-e-dil-e-afgar ke saath

tegh chal nikli dam-e-qatl gale par mere

main ne tashbih jo di abru-e-khamdar ke saath

hashr aghyar ka shaddad ke hoga hamrah

jhuut kahta huun to bas hashr ho aghyar ke saath

na daren khuld men jaate hue jo rizvan se

us ke darvaze pe ruk jaaen khabar-dar ke saath

so gae bakht shab-e-vaada ye mujh se kah kar

kaun jaaga hai tire dida-e-bedar ke saath

is qadar charb-zabani nahin achchhi ai shama

bazm-e-janan men zaban katti hai guftar ke saath

hashr men zalim-o-mazlum juda honge daregh

haae vaan bhi na rahe us but-e-ayyar ke saath

haae afsos hai ‘salik’ ki javan-margi ka

ishq ki baat gai us jigar-afgar ke saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Tumhein Bhi Chaha, Zamane Se Bhi Wafa Ki Thi

siraj-aurangabadi

Bar Tujh Hijr Ka Bhaari Hai Khuda Khair Kare

naina-adil

Jwala-Mukkhi

Namak Ki Roz Malish Kar Rahe Hain

Sham Kinare Utra Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet