• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Shadman Ho KHuld Ki Bhi Aarzu Na Ho

Dil Shadman Ho KHuld Ki Bhi Aarzu Na Ho

poet

dil shadman ho ḳhuld ki bhi aarzu na ho

gar tu mile ḳhuda ki mujhe justuju na ho

ankhen tujhe na paa.en to kuchh bhi na pa saken

gar tu na ho to kuchh bhi mire ru-ba-ru na ho

chubhti hui kahe hai zaban se har ek baat

tu ḳhuub hai jo talḳh tiri guftugu na ho

uThti nahin nigah bhi ai dil tire sabab

kis se mujhe shikast ho dushman jo tu na ho

mahbub gar mile to mile vo nasib se

lutf-o-karam na ho to sitam ki bhi ḳhu na ho

har ḳhub-ru ho shoḳh-ada aur vafa-shi.ar

kis kaam ka hai phuul agar rang-o-bu na ho

izzat bhi ek chiiz hai duniya men ai ‘falak’

us ghar na ja jahan ki tiri aabru na ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Manzar Tamam Aaj Tak Aankhon Pe Bojh Hain

etibar-sajid

Tilism-Zar-E-Shab-E-Mah Mein Guzar Jae

Palkon Pe Yahi KHwab Sajaya Hai Ki Tum Ho

KHayalon Mein Kisi Ke Kho Gae Kya

Duniya Ko Walwala Dil-E-Nashad Se Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet