• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Se Ye Kah Raha Hun Zara Aur Dekh Le

Dil Se Ye Kah Raha Hun Zara Aur Dekh Le

dil se ye kah raha huun zara aur dekh le

sau baar us ko dekh chuka aur dekh le

us ko ḳhabar hui to badal ja.ega vo rang

ehsas tak na us ko dila aur dekh le

sahra men kya dhara hai abhi shahr ko na chhoḌ

kuchh roz doston ki vafa aur dekh le

mausam ka e’tibar nahin badban na khol

kuchh der sahilon ki hava aur dekh le

sahra-e-arzu hai qadam dekh-bhal kar

kanTon ki samt abla-pa aur dekh le

hota koi to paanv ki aahaT se chaunkta

jangal hai kar ke ek sada aur dekh le

dil bhi to ik dayar hai raushan hara-bhara

ankhon ka ye charagh bujha aur dekh le

mumkin hai ek lamhe ki mehman ho bahar

phulon ki tazgi pe na ja aur dekh le

yuun kis tarah bata.un ki kya mere paas hai

tu bhi to koi rang dikha aur dekh le

dekhi thi ik jhalak ki uḌe rang har taraf

koi pukarta hi raha aur dekh le

‘shahzad’ zindagi ke jhamele hazar hain

duniya nahin pasand to aa aur dekh le

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Rah Mein Hail Na Ho Jate Agar Dair-O-Haram

poet

Haalanki Main Asir-E-Azab-E-Safar Na Tha

Falak Ke Na in Mah-Paron Ko Dekho

KHwahish-E-taKHt Na Ab Dirham-O-Dinar Ki Gunj

Ada-E-Ishq Hun Puri Ana Ke Sath Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet