dil ne yuun hausla-e-nala-o-fariyad kiya
main ye samjha shab-e-gham tum ne kuchh irshad kiya
jabr-e-fitrat ne ye achchha karam ijad kiya
ki mujhe vus.at-e-zanjir tak azad kiya
tum na the dil men to viran thi kahani meri
ishq ne lafz ko mafhum se abad kiya
tera andaz-e-tabassum hai ki unvan-e-bahar
jab koi phuul khila main ne tujhe yaad kiya
jhilmilane lagi lau sham.a ki gul murjha.e
ham ne jab bazm men zikr-e-dil-e-nashad kiya
intiha-e-gham-e-furqat men vo din bhi aa.e
main tujhe bhuul gaya tu ne mujhe yaad kiya
imtiyaz-e-karam-o-jaur se mahrum hain sab
tu ne jis dil ko miTaya use abad kiya
tha asiri men hamen sirf gulistan ka ḳhayal
chhuT kar aa.e to zindan ko bahut yaad aaya
kaun samjhega mira alam-e-rindi ‘shahid’
jab kahin ji na laga mai-kada abad kiya
Leave a Reply